Powered By Blogger

Format Number in Excel

Format Number in Excel

hamare pass jo excel ki sheet hoti hai usme hume bahut si cells mili hoti h jisme hum bahut kuch likh sakte h

lekin kai bar aisa hota h ki hame apane number ke sath kuch format lagana hota hai jaise hame apane number ke sath apane rupees or currency ka symbol likhana hota h

uske liye hum number formate ka use karte hai

To chalo start karte hai

sabse pahle hum apane cell ko select karte h jaha hame currency symbol use karna hai uske bad hum home menu me number formate me jate h

usme jab hum dekhete h to hame ek jagah per general likha hota h waha per right side me ek chota sa down arrow ka nishan hota h usper click karte h aur apane according formate choose kr lete hai

Isme hame 2 option milta h currency symbol lagane ke liye
  1. Currency aur
  2. Accounting
Isme se hum jo chahe wo choose kr sakte hai Per isme kuch different hota hai
  • Currency me hume currency ka symbol pass milta h jabki accounting me hume symbol dur milta hai
  • Currency me jab hum zero likhte h to hame zero ke sath currency ka symbol aata h jabki accounting jab hum zero likhate h to hume - ke sath currency ka symbol aata h.
Lekin kai bar hame apani currnecy ki jagah kisi aur desh ka ya koi aur symbol show karta h to hame usko change karna hota hai

Uske liye hum accounting number format per jate hai jo general word ke thik niche left side me hota hai usme agar hamara currency symbol mil jata h to change kr dete hai nhi to sabse last option choose karte hai jo more accounting ka hota hai

Isme hum apane right side me symbol likha hua dekhate h jisme hamara current symbol show hota hai usme hum jakr ke ek ek symbol ko check kr ke apana symbol choose karte h aur fir niche ok per click karte hai.
Isse hamara currency symbol mil jata hai.

To aaiye ab hum isi cheez ko ab video me dekhate hai.


No comments:

Post a Comment